Santo Ki Sewa Sabse Uttam Hoti Hai Isi Tarah Sewa Karte Raho, Bahut Anand Milega...
Rev. Krishn Lal (JOHAR) Ji ne apne ghar satsang ka aayojan kiya, saath me Baba Avtar Singh Maharaj Ji ke liye chai aur nashate ka prabdhn kiya.. Satsang me babaji ke pravachanoke baad jab sadh sangat uthane lagi toh babaji ne goshna(announce ment) ki sare mahapursh nashata karke jaye.. Yeh sunkar johar ji chinta me padh gaye ki meine toh babaji aur unke saath aaye teen-char mahatmao ke liye hi nashte ka intezam kiya hai.. Shesh sabke liye prabdhn kaise hoga.. Johar ji ne socha hum prasad dena hi shuru nai karenge toh sadh sangat teen-char minute me chalijaegen...
Johar ji ne aisa mann me socha hi tha toh babaji ne dobara goshna karwaye, "Darwaje bandh kar do, koi bhi mahatma chai ke bina na jaye"... Rev. Labh Singh ji ne secretary Rev. Ram Saran ki duty laga di ki koi bhi bina prasad na jaye.. Johar ji pareshan ho gaye ki ab kya karu tab babaji ne unhe kaha chinta mat karo, "Santo ki sewa sabse uttam hai isi tarah sewa karte raho, bht anand milega"... Kuch der baad johar ji ye dekh kar hairan ho gaye ki mahatma chai peekar aur prasad lekar jaa rahe hai tab wah sochne lage ki ye kisiaur hi duniya ke log hai kyuki ghar aye mehmano ki jitni bhi sewa karo jate waqt apna mann maila karke jate hai dusri taraf yeh mahatma hai theek se chai bhi nai pila paya tab bhi ashirwad deke jaa rahe hai.. Sabke jane ke baad johar ji ne babaji ko aur unke saath anay mahatmao ko nashta karwaya.. Jitna bhi tha sabne mil-baatkar khaya.. Prem padarthn ka mohtagnai hai, prem me toh bhav hi pradhan hota hai..
Dhan nirankar ji...
Search This Blog
22 September, 2011
Teacher vs Guru
A Teacher instructs you, a Guru constructs you. A Teacher sharpens your mind, a Guru opens your mind. A Teacher answers your question, a Gur...
-
Fikar kare wo BAWARE, Jikar kare wo SADH, Uth farida Jikar kar, Teri FIKAR KAREGA ye AAP.
-
तात मिले,पुनि मात मिले,सुत भरात मिले युवती सुखदाई , राज मिेले,गज बाज मिले,सब साज मिले,मनवांछित फल पाई , लोक मिलें,सुर लोक मिलें,विधि लोक मि...
No comments:
Post a Comment