Search This Blog

16 June, 2013

“Peace cannot be attained by amassing wealth; Peace cannot be attained by watching dance and drama; Peace cannot be attained by visiting distant countries for making money; Peace lies in knowing and singing glory of God in the fellowship of saints.” be a part of universal brotherhood.....
Bhakti me Paripurnta ke kamyabi tak pahuchane wale Raste kabhi sidhe nahi hote hai. We Ninda, Nafart, Vair, Virodh, is se hi bhare huye rahte hai.
Lekin Vidhi ka vidhan itna to pakka hota hai ki,
Ek bar Puran kamyabi mil jaye to uske bad sare ke raste Apne Aap Sidhe ho jate hai.
Is liye ek saccha Bhakt bich me aanewale Tede Medhe Rasto ko thik ya sidhe karne se jada, ya bich me aane wali rukawat me ulazkar rahne se jada,
Satguru Babaji jo hume har hal me khush rahne wala Rajmarg dikha rahe hai usko apnate huye jaldi se jaldi Apni Purnata ke kamyabi ko prapt karta hai.
Is karan uske Bhakti ke sirf raste hi nahi balki Ihlok tatha Parlok ka pura jivan hi sidha aur saral ho jata hai.
Aur jo Tedhe Medhe Rasto me hi ulazkar reh jate hai we manzil ko pane me kabhi Kamyab nahi hote hai.
Bandgi mili mujhe rehmat se teri he bandanawaaj,
warna main nimaani tou kisi bhi yog na thi,
Do taliyon bich huye deedar hasti-e-lafaani ke,
mere mursad naacheej tou iss kaabil na thi..

Teacher vs Guru

A Teacher instructs you, a Guru constructs you. A Teacher sharpens your mind, a Guru opens your mind. A Teacher answers your question, a Gur...