“HOME –SWEET- HOME “
JAB HUM APNE GHAR SE KAI DINO KE LIYE BAHAR HOTE HAI , AUR JAB VAPAS GHAR PAHUCHTE HAI, TO EK MAN ME CHAIN KA AHSAAS HOTA HAI, LAGTA HAI KI SAARI DUNIA ACCHI HAI PAR SABSE ACCHA APNA GHAR HAI ESLIYE HUM AKSAR KAH DETE HAI KI “HOME-SWEET-HOME” , yani KI APNE GHAR SE JYADA ACCHA KUCH NAHI HAI, KYUKI VAHA PAR HUME CHAIN HAI, SUKOON HAI, SHANTI HAI KYUKI HUM APNE GHAR MEIN HAI.
THIK ESI PRAKAR EK AATMA (SOUL) KA GHAR BHI YE NIRANKAR PRABHU , YE PARMATMA HAI, JAB TAK YE AATMA AGYANTA-VASH SANSAAR MEIN REHTI HAI, ESE CHAIN NAHI AATA, SUKH NAHI MILTA , SHANTI NAHI HOTI HAI , PARANTU JAB PURAN SATGURU KRIPA KARTE HAI TO , JAB ES AATMA KO NIRANKAR KA GYAN DETE HAI, TO ESE APNA “NIJ-GHAR” MIL JAATA HAI, DIKH JAATA HAI, MANJIL MIL JAATI HAI, TAB JAKAR VO AATMA (SOUL) APNE “NIJ-SWAROOP”, APNE “NIJ-GHAR” KO PRAPT KARTI HAI, PHIR USE VAHA SUKH HAI, SHANTI HAI, CHAIN HAI, NAAM KA SIMRAN HAI, BHAKTI HAI , SARE KE SARE SUKH HAI , AATMA KE NIRANKAR ROOPI GHAR MEIN, ESLIYE EK AATMA (SOUL) KE LIYE BHI” HOME-SWEET-HOME” HOTA HAI.
AAye milkar GURU-CHARNO MEIN PARTHNA KARE KI SAB AATMAO ( SOULS) KO APNE NIJ-GHAR PRAPT HO, SAB APNE “HOME-SWEET-HOME” MEIN RAH SAKE.AISI BABAJI KE CHARNO MEIN ARDAAS HAI
DNKG
No comments:
Post a Comment