Bhakti me Paripurnta ke kamyabi tak pahuchane wale Raste kabhi sidhe nahi hote hai. We Ninda, Nafart, Vair, Virodh, is se hi bhare huye rahte hai.
Lekin Vidhi ka vidhan itna to pakka hota hai ki,
Ek bar Puran kamyabi mil jaye to uske bad sare ke raste Apne Aap Sidhe ho jate hai.
Is liye ek saccha Bhakt bich me aanewale Tede Medhe Rasto ko thik ya sidhe karne se jada, ya bich me aane wali rukawat me ulazkar rahne se jada,
Satguru Babaji jo hume har hal me khush rahne wala Rajmarg dikha rahe hai usko apnate huye jaldi se jaldi Apni Purnata ke kamyabi ko prapt karta hai.
Is karan uske Bhakti ke sirf raste hi nahi balki Ihlok tatha Parlok ka pura jivan hi sidha aur saral ho jata hai.
Aur jo Tedhe Medhe Rasto me hi ulazkar reh jate hai we manzil ko pane me kabhi Kamyab nahi hote hai.