Search This Blog

29 October, 2011

“ EARTH GRAVITY & TRUEMASTER BLESSINGS”

Jaise hum Sab janate hai ki hum jab es jameen par chal rahe hote hai to hum prathvi ke Gurutvakashan (Gravity) ke karan hum sab jameen par hote hai,,agar gravity na ho to hum sab akash mein udd jayenge, Earth par Gravity hai parantu vo dekhai nahi deti hai , adrashya (invisible) hai parantu Gravity hai, Thhik esi prakar Satguru Babaji ki Kripa es dharti par apne gurusikho par barabar bani hui hai , jo invisible hai, dekhai nahi deti par hai,Kyuki hum sab soche ki jab gurusikh ye kahta hai ki saaheb mera ye kaam apne aap ho gaya, mera bête ki shaadi mein sab badiya badiya ho gaya maalik ki kripa ho gai, to vo satya hai Babaji har waqt apne gurusikho ke saath apni kripa ke roop mein rahte hai, varna apne aap sare kaam sahej mein ho jana koi aam baat to nahi hai, ye kewel guru ki kirpa hai jo unke baccho ke saath hamesha rahti hai jo visible nahi hoti, invisible hoti hai, par feel jarur hoti hai, just like GRAVITY on earth,

Babaji ke charno mein parthna hai ki sache paatshah ye invisible kripa aapke baccho par hamesh bani rahe , aur unke kaam baanati rahe.
Dnkg

IS NIRANKAR IS OUR BEST FRIEND ???? HAVE WE ALLOWED HIM ?????

DHAN NIRANKAR JI
IS NIRANKAR IS OUR BEST FRIEND ???? HAVE WE ALLOWED HIM ?????

Hamare dil ka har sukh , har dukh hum apne sabse best friend ke saath SHARE KARTE hain ki merko ye dukh haiya ye takleef hai, ya mein es baat se bahut khush hu , im feeling happy,ye saari hamari baate hamara ek saccha dost janta hai bcoz we shared with him or her.
Lekin kya kabhi humne nirankar ko apna dost samjhkar usse baate ki hai jaisa ki hum apne dosto ke saath karte aaye hai, kabhi nirankar ko apna samjhkar eske saath apna sukh dukh share kia hai ??? janta hu kuch alag lagta hai aisa lagega ki jaisa koi khali jagah se ya hawa se baate kar raha hai, agar aapne ye ab tak try nahi kia , to karke dekhe ,nirankar se baate karne ki koshish kare, jaise ki apne dosto ke saath karte aaye hai, yakeen maniye apko aisa karte karte nirankar se jawab bhi milne lagenge, kyuki es sansar mein nirankar prabhu se badkar koi hamara mitra ,friend nahi hai , to kyu nahi nirankar ko apne aur kareeb kia jaaye ek dost samjhkar, ek BEST FRIEND samjhkar. Just try this practical
DNKG

Teacher vs Guru

A Teacher instructs you, a Guru constructs you. A Teacher sharpens your mind, a Guru opens your mind. A Teacher answers your question, a Gur...